Friday, April 11, 2008

sans......

tere haathon ki lakeeron me mera naam nahi,
beete hue kal ka koi hota anjam nahi.
ishq , khuda aur chahat kahne ki baatein hain,
insaano ki duniya me deewano ka kaam nahi.

pata nahi khuda ne , kyun dil ka khel khela,
bejaar si us basti me chahaton ka rela.
kadam bade the naajuk,do chaar ham chale the,
jo bach raha tha mujhme bas peer ka ek rela.

kasam tumhe khuda hai,fir khel yeh na bunna,
marte hue deewane se hasne ko tum na kahna.
dekhi teri khudai , dekhe tere yeh insaan,
hamne jo khuda banaya,uska khayaal rakhna.

No comments:

मेरी माँ

भोजन टेबल पर रखा जा चुका था। नजर उठा कर देखा तो माँ सामने खड़ी थी। सूती साड़ी में लिपटी वह सादगी की प्रतिमूर्ति , चेहरा सर्द बर्फ की तरह शां...