Friday, April 18, 2008

Tread...........

hosh ka kya kaam hai.
karvaton me lipti woh raatein,siskiyon ki woh kashish.
shabnami un aansuon ki,bujh rahi dekho tapish.
mud ke mat dekho kahin bhi,koi bhi rukta nahin,
paaniyon me raaste ka dikhta kabhi nishaan nahin.
hosh ka kya kaam hai.
door dekho woh samandar,kar raha vaade kai,
badliyon ki oat le woh chandni ki kartab nayi.
kah raha hai dev fir se,fans na jaana tum kahin,
jindagi ek kaarvan hai,saath ka manjar nahin.
hosh ka kya kaam hai.
naajneen lagti jo manjil,hoti nahi hai woh sahi,
kufr ke dikhte hain chehre,kohre me bilkul haseen.
aao chal kar dekhte hai,raasta kitna bacha hai,
manjilon ki fikr kya jab, saamne andhera bhara hai.
hosh ka kya kaam hai.

No comments:

मेरी माँ

भोजन टेबल पर रखा जा चुका था। नजर उठा कर देखा तो माँ सामने खड़ी थी। सूती साड़ी में लिपटी वह सादगी की प्रतिमूर्ति , चेहरा सर्द बर्फ की तरह शां...