Saturday, April 19, 2008

The wish......

kafan ho gar sar pe mere,
naam unka uspe likhna.
dafn ho gar saans mere,
ek kalma unka padhna.
saans me thi basti chahat,
sar pe nishan unke labon ke.
sun lo aiye duniya ke logon,
ham jiye the unpe mar ke.
unke keshu ki woh khushbu,
aaj bhi mere badan par.
unki aahat , unki chahat,
aaj bhi chhati hai mann par.
woh masiha is jahaan ke,
main bikharta ek kaafir.
kya chale koi manjilon ko,
sath gar un saa musaafir.

No comments:

मेरी माँ

भोजन टेबल पर रखा जा चुका था। नजर उठा कर देखा तो माँ सामने खड़ी थी। सूती साड़ी में लिपटी वह सादगी की प्रतिमूर्ति , चेहरा सर्द बर्फ की तरह शां...