Saturday, April 19, 2008

Sojourn.....

Kaarvein ke sath chale the ,
Aaj akele baithe hain.
Saagar ki pyaasi laharon se ,
Pyaas bujhaane baithe hain.
Kal tak khusiyon ka alam tha,
Aaaj andheri raatein hain.
Gumnaami ke is daaman me ,
Tum toh nahi teri yaadein hain.
Sapno me tum milte ho,
Palakein band hui kab se,
Ek baar aa jao saathi,
Saansein vinti karti tumse.
Hungame ke is kooche me,
Dhoonde fire kahaan ham tumko.
Ek baar aa jao maajhi,
Naiyaan saump doon main tumko.

No comments:

मेरी माँ

भोजन टेबल पर रखा जा चुका था। नजर उठा कर देखा तो माँ सामने खड़ी थी। सूती साड़ी में लिपटी वह सादगी की प्रतिमूर्ति , चेहरा सर्द बर्फ की तरह शां...