Wednesday, May 7, 2008

The August......

Fakir hua jaata hu....
Kurbaton ke is nagar me,
chahaton ke is bhanvar me,
toot ke har mod-ghar pe,
panaah apne aap me le.
Fakir hua.....
Ab nahi us kufr ka gam,
Ab nahi imaan ka dum.
Ab nahi koi hai sargam,
Shab gayi,khoi hai shabnam.
Fakir hua......
Roshni ka ek safar hai,
rooh me raushan mera ghar.
saans me jo ek asar hai,
half me khudaai ko le kar.
Fakir hua ......
Ab chala hu us nagar me,
khud se khuda bante jahan.
nematon me bat chuka hu,
ab bachaa insaan kahan.
Fakir hua......

1 comment:

Unknown said...

nice
superb
sabdo ki dunniya ke badsaah ho aap to yaar. reflects everything inside outside world of urs.

मेरी माँ

भोजन टेबल पर रखा जा चुका था। नजर उठा कर देखा तो माँ सामने खड़ी थी। सूती साड़ी में लिपटी वह सादगी की प्रतिमूर्ति , चेहरा सर्द बर्फ की तरह शां...