Monday, May 12, 2008

The illusion...........

Un aankhon me ab kya hoga?

Kal tak takaa kiye jo mujhko ,
jale aur fir bujhe the kal jo.
aaj nayi chahat me khoye ,
beete pal sa mujhe bhul wo.
Un aankhon ......
Naye rang aur nayi hawa ke,
jhonkon se ab baatein hongi.
nayi fiza aur nayi wafaa ki
ab kuch nayi barsatein hongi.
Un aankhon ......
yaa fir honge us ateet ke
bojhil se hote kuch saaye.
ya us raushan se chiraag me,
bante honge kuch apne paraye.
Un aankhon ......
Chahe jo ho kaayanat ab,
jo bhi ho meri bisaat ab.
ashq na laana meri khaatir,
bachi yahi faryaad hai ek ab.
Un aankhon ......

1 comment:

Unknown said...

yaar aap to bahut acchi kavitaye likhte ho.

मेरी माँ

भोजन टेबल पर रखा जा चुका था। नजर उठा कर देखा तो माँ सामने खड़ी थी। सूती साड़ी में लिपटी वह सादगी की प्रतिमूर्ति , चेहरा सर्द बर्फ की तरह शां...