Saturday, May 24, 2008

Journey.....

सफर कहीं अब ले चल तू.
बेजान कदम , धड़कन मद्धम,
अनजान खुदा, अनजान सनम।
रास्ता रूठा, गठरी छूटी,
दिन झूठे , रातें भी झूठी।
सफर कहीं.....
सालों बरसी , सूखी आंखें,
जन्मों तरसी, प्यासी बाहें।
अब मेरे खुदा, तू जाग जरा,
है सफर कठिन, भटकी राहें.
सफर कहीं....
न चाह कोई , न प्यास कोई,
अब वस्ल-ऐ-नफस भी यहाँ नही।
बस एक दीवाना मेरा दिल,
कहता है एक फरियाद यहीं.
सफर कहीं....
किसको भूलूँ, याद आऊँ किसे,
हर जगह मेरा मैं बिखरा है।
बिखरे साँसों के इन मनको पर,
अल्लाह तेरा ही कुछ फिकरा है.
सफर कहीं ......

Journey.....

सफर कहीं अब ले चल तू.
बेजान कदम , धड़कन मद्धम,
अनजान खुदा, अनजान सनम।
रास्ता रूठा, गठरी छूटी,
दिन झूठे , रातें भी झूठी।
सफर कहीं.....
सालों बरसी , सूखी आंखें,
जन्मों तरसी, प्यासी बाहें।
अब मेरे खुदा, तू जाग जरा,
है सफर कठिन, भटकी राहें.
सफर कहीं....
न चाह कोई , न प्यास कोई,
अब वस्ल-ऐ-नफस भी यहाँ नही।
बस एक दीवाना मेरा दिल,
कहता है एक फरियाद यहीं.
सफर कहीं....
किसको भूलूँ, याद आऊँ किसे,
हर जगह मेरा मैं बिखरा है।
बिखरे साँसों के इन मनको पर,
अल्लाह तेरा ही कुछ फिकरा है.
सफर कहीं ......

Friday, May 23, 2008

Solace....

राहतों से डर लगता है ॥
बेचैन जिगर, बेताब नजर,
प्यासी आहें ,खूंखार नजर।
तड़प-तड़प और बिफ़र बिफ़र,
घायल सांसें, बर्बाद शजर।
राहतों........
टूटी- फूटी , गीली -सीली,
एहसास मरे, खामोश ये घर।
है जला जला, कुछ बुझा बुझा,
दीवाना सा मेरा मंजर।
राहतों........
है गिरे पड़े, कुछ लुटे हुए,
कुछ पिटे हुए , मेरे अरमान।
ठहर ठहर, न फेर नजर,
कह दे तू जरा उनका फरमान।
राहतों ........
मौत मौत और jist jist ,
लड़ना -मरना ,पाना खोना।
अब बहुत हुआ ये खेल खुदा,
मैं चला ,नही रोना धोना।
राहतों..........



Saturday, May 17, 2008

the penultimate desire.......

चाहत के दो फूल खिला कर ,
दर्द नशेमन मिलता है।
गुंचा एक प्यार का देखो ,
कांटो का गुलशन देता है।

हाय जहाँ कुछ फूल कभी थे,
आज बिछे अंगारे हैं।
जहाँ जिगर का लहू बहा था,
आज सिसकती आहें हैं।

साँसों में जो एक कयास था,
उसको रोज दफन करता हूँ।
क्यों मुझको जीने कहते हो,
बरसों से जीता आया हूँ।

अब तौ कुछ अरमा हैं ऐसे,
सागर की लहरें हो जैसे ।
पल को बनती ,पल को बिखरती,
साहिल से मिलना हो ऐसे.

Monday, May 12, 2008

Crossroads...........

Raahi soch kidhar jaana hai?

Aage dikhta ek bhanvar hai,
Faila ek bura manjar hai..
Anjaani si ek dagar hai,
Fir bhi badhne ka hi mann hai.

Raahi soch kidhar jaana hai?

Dil me jalti ek shama hai,
Mann ka manjar aaj jawaan hai,
Chahe kitna bhi mushkil ho,
Manjil pane ka armaan hai.

Raahi soch kidhar jaana hai?

Aaunga main paas tumhare,
Fir hongr din raat hamaare.
Sooni sooni in aankhon me ,Jaane honge wo kaun najare.

The tale........

tumhe dekhte hi yeh aankhein aa chhalki,
tumhe dekh kar aaaj yeh rooh machli.

tum hi tum toh thi mere har oar faili,
najar me,jigarme,chaah me tum thi pahli.

faaslon ka daaman,aaj mere jigar pe,
aansuon ki dagar jaane kis oar bah li.

kareebiyon ki umra jo baajuon me bitaayi,
yaat aati hai is shab woh har dhoop ujli.

kahaan tum khadi ho,kahan main gira hu,
na puccho ye shaam kahan chal hai nikli.

dooriyaan bahut hain,door hone ka vaada,
us se bhi aur jyada,baat jaam se maine kahli.

kahna,sunaana,har roj dil hai kahta,
na jaane kahaan isme ek aas rah li.

chalo mod tumhara,aage ko aata,woh dekho
chaand ko kaise dhak rahi ek badli.

chand saansein bachi hain,naam ko ab tumhare,
fir na mudna yahaan,dekho yeh jaan nikli.

Solitary refrain......

Akela hoon main,akela hoon main,
umra ke is safar me,akela hoon main.

akela chala tha,main chalta raha tha,
na mud kar bhi dekha koi kya khada tha.

raat ne de diya ek ujaale ka vaada,
main badhta raha aur bhi aur jyada.

kahaan aa gaya,samajh me na aata,
ujaale me hi yahaan ujala samaata.

na dikhta kahin kuch,na ehsaas hota,
dayaar e safar me kya aisa hai hota.

kya yahin tha pahuchna,isi ko chala tha,
raaste me jiske main kahin na ruka tha.

hans padi meri dhadkan,aur kuch yoon kaha tha,
akela hai tu aur akela chala tha.....

The illusion...........

Un aankhon me ab kya hoga?

Kal tak takaa kiye jo mujhko ,
jale aur fir bujhe the kal jo.
aaj nayi chahat me khoye ,
beete pal sa mujhe bhul wo.
Un aankhon ......
Naye rang aur nayi hawa ke,
jhonkon se ab baatein hongi.
nayi fiza aur nayi wafaa ki
ab kuch nayi barsatein hongi.
Un aankhon ......
yaa fir honge us ateet ke
bojhil se hote kuch saaye.
ya us raushan se chiraag me,
bante honge kuch apne paraye.
Un aankhon ......
Chahe jo ho kaayanat ab,
jo bhi ho meri bisaat ab.
ashq na laana meri khaatir,
bachi yahi faryaad hai ek ab.
Un aankhon ......

Wednesday, May 7, 2008

The August......

Fakir hua jaata hu....
Kurbaton ke is nagar me,
chahaton ke is bhanvar me,
toot ke har mod-ghar pe,
panaah apne aap me le.
Fakir hua.....
Ab nahi us kufr ka gam,
Ab nahi imaan ka dum.
Ab nahi koi hai sargam,
Shab gayi,khoi hai shabnam.
Fakir hua......
Roshni ka ek safar hai,
rooh me raushan mera ghar.
saans me jo ek asar hai,
half me khudaai ko le kar.
Fakir hua ......
Ab chala hu us nagar me,
khud se khuda bante jahan.
nematon me bat chuka hu,
ab bachaa insaan kahan.
Fakir hua......

क्या रहता, क्या खो जाता है?

सागर सदृश जीवन में उत्तुंग तरंगें स्मृतियों की जब कूल तोड़ कर बढ़ती हों कुछ बह जाता, कुछ रह जाता है। कितने मेरे थे, कितनों का मैं, पर काल बिंद...