Monday, May 12, 2008

Crossroads...........

Raahi soch kidhar jaana hai?

Aage dikhta ek bhanvar hai,
Faila ek bura manjar hai..
Anjaani si ek dagar hai,
Fir bhi badhne ka hi mann hai.

Raahi soch kidhar jaana hai?

Dil me jalti ek shama hai,
Mann ka manjar aaj jawaan hai,
Chahe kitna bhi mushkil ho,
Manjil pane ka armaan hai.

Raahi soch kidhar jaana hai?

Aaunga main paas tumhare,
Fir hongr din raat hamaare.
Sooni sooni in aankhon me ,Jaane honge wo kaun najare.

No comments:

क्या रहता, क्या खो जाता है?

सागर सदृश जीवन में उत्तुंग तरंगें स्मृतियों की जब कूल तोड़ कर बढ़ती हों कुछ बह जाता, कुछ रह जाता है। कितने मेरे थे, कितनों का मैं, पर काल बिंद...