Saturday, April 19, 2008

Prayer..........

shaam mujhse poocch rahi manjil ka pataa hai ,
usko kya khabar ki yeh raahi bekhabar hai.
dikhta hai ek manjil jo hota raha hai door,
saath me bas hausala aur ishq hai bharpoor.
raaste lambe hi honge, chaah jo itni badi hai,
faasle bhi badh chalenge, raah jo aisi chuni hai.
khamosh rahta hu ki ab aahaton se dil hai darta,
ek adad ab kaan me geet unka hi hai bajta.
mud chale jo saath the, ab raasta veeran hua,
saath ke is hamgujar me jaane mujhse kya hua.
fariyaad karta main na maula , ishq ki tauheen woh,
ab ibaadat kar raha hu , jaane kab taskeen ho.
nafs mere dafn hote ,aankh meri surkh hoti,
par mere unko khabar kya,boond banta hi hai moti.
sun lo bas ek baar, dil se bolta hu ,chahta hu,
bas tumhari ek jhalak ko main yahaan kaafir hua hu.

No comments:

क्या रहता, क्या खो जाता है?

सागर सदृश जीवन में उत्तुंग तरंगें स्मृतियों की जब कूल तोड़ कर बढ़ती हों कुछ बह जाता, कुछ रह जाता है। कितने मेरे थे, कितनों का मैं, पर काल बिंद...