Friday, April 11, 2008

The wreck .....

Palakon ki oat me band woh aankhein,
khwaab ka intezaar ho shayad !

jalte tawe pe jalti boond si jindagi,
raakh ka bhi nishaan na ho shayad.

waqt ki kitaab aur gamon ki roshnaai,
haashiye ka gumaan na ho shayad.

mat kaho ki woh mera kaatil hai,
unhe iska gumaan bhi na ho shayad.

band aankhon ko band kar lenge hum,
aaandhiyaan aur bhi baaki ho shayad.

No comments:

क्या रहता, क्या खो जाता है?

सागर सदृश जीवन में उत्तुंग तरंगें स्मृतियों की जब कूल तोड़ कर बढ़ती हों कुछ बह जाता, कुछ रह जाता है। कितने मेरे थे, कितनों का मैं, पर काल बिंद...